Wednesday, October 24, 2012

Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha


Tumhare khath main naya ek salam kis ka tha
na tha raqeeb to akhir wo nam kis ka tha,

Wo qatl kar ke har kisi se puchte hain
ye kaam kis ne kiya hai ye kaam kis ka tha,

Wafa karenge nibhayenge baat manenge
tumhen bhi yaad hai kuch ye kalam kis ka tha,

Raha na dil main wo be-dard aur dard raha
muqeem kaun hua hai maqam kis ka tha,

Na pooch-paach thi kisi ki na aao-bhagat
tumhari bazm main kal ehtamam kis ka tha,

Guzar gaya wo zamana kahen to kis se kahen
khayal mere dil ko subah-o-sham kis ka tha,

Har ek se kahte hain kya “Daagh” bewafa nikla
ye puche in se koi wo ghulam kis ka tha"

                              By : Shayar-e-Azeem, DAG DEHLVI

5 comments:

Unknown said...

very nice vinay ji

Vinay said...

Thank you ..

Brian Lara said...

Nice Blog! Please enable the option for followers too.

Brian Lara said...

Tum apne khat main yun lafzon ka silsila rakhna ..

Har ek lafz ka mehfoom doosra rakhna ...

Tumhare lab ki mekhaq raaz fash ker degi ...

lifafa band na kerna yuhi khula rakhna ....

na itna toot ker miliye ke dil pe shaq guzre...

khuloos main bhi zaroorai hai fasla rakhna....

Main zindagi main kahin mil hi jaunga....

magar ye shart hai ki bichdne ka hosla rakhna....

yeh soz o qurb mujhe tajurbon ne baksha hai ...

jalana shmma to daaman se faslaa rakhna...

Vinay said...

Henry, Thanks for your nice comment, please follow now

Followers