Wednesday, November 21, 2012


Rind Jo Mujh Ko Samjhate Hai Unhe Hosh Nahin,
Mayekada Saaz Hu Main, Mayekada Bardosh Nahi,


Ye Alag Baat Hai Saaki, Ke Muhe Hosh Nahi,
Warna Main Kuch Bhi Hu, Ehsaan Framosh Nahi,



Paav Unth sakte Nahi Manjile Jana Ke Khilaf,
Aur Agar Hosh Ki Pucho, To Mujhe Hosh Nahi,


Ab To Tasir - E - Game Ishq Yaha Tak Phuchi,
Ke Idhar Hosh Main Hai, To Udhar Hosh Nahi,

Jo Mujhe Dekhta Hai, Naam Tera Leeta Hai,
Main To Khamosh Hu, Halat Meri Khamosh Nahi,

Mehbe Tasbir To Sab Hai, Magar Idhraak Kaha,
Zindagi Khud Hi Ibadat Hai, Magar Hosh Nahi,

Kabhi Unmad Bhari Aakho Se, Piya Tha Ek Jaam,
Aaj Tak Hosh Nahi, Hosh Nahi, Hosh Nahi, 

Milke Ek Bar Gya Hai, Koi Jis Din Se Jigar,
Mujh Ko Yeh Veham, Shaayed Mera Ab Hosh Nahi

:- Zigar Moradabadi

No comments:

Followers