Saturday, December 1, 2012

Jab aankh hi se na tapka to fir lahoo kya hai?

Har ek baat pe kehte ho tum ke  'too kya hai' ?
        Tumheen kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai?

      Ragon mein daudte firne ke ham naheen qaayal
        Jab aankh hi se na tapka to fir lahoo kya hai?

      Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
        Hamaari  jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai?

      Jalaa hai jism jahaan dil bhee jal gaya hoga
        Kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?

woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?

na shole mein yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai?

      Rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
        To kis ummeed pe  kahiye ke aarzoo kya hai ?

yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?

bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN ?GHalib? kee aabroo kya hai ?

:-Something awesome by Ghalib Sahab 


 ?





No comments:

Followers