Saturday, December 1, 2012

khush hote hain par wasl mein yun mar nahi jate, ai shab-e-hijaran ki tamanna mere aage

bazicha-e-atfal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamasha mere aage

ik khel hai aurang-e-suleman mere nazdik
ik bat hai ejaz-e-masiha mere aage

juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzur
juz waham nahi hasti-e-ashiya mere aage

hota hai nihan gard mein sehra mere hote
ghista hai jabin khak pe dariya mere aage

mat puch k kya hal hai mera tere piche
tu dekh k kya rang hai tera mere aage

sach kahte ho khudbin-o-khudara hun na kyon hun
baitha hai but-e-aina sima mere aage

phir dekhiye andaz-e-gulafshani-e-guftar
rakh de koi paimana-e-sahba mere aage

nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzra
kyon kar kahun lo nam na us ka mere aage

iman mujhe rok hai jo khinche hai mujhe kufr
kaba mere piche hai kalisa mere aage

ashiq hun pe mashuqfarebi hai mera kam
majnun ko bura kahti hai laila mere aage

khush hote hain par wasl mein yun mar nahi jate
ai shab-e-hijaran ki tamanna mere aage

hai maujzan ik qulzum-e-khun kash! yahi ho
ata hai abhi dekhiye kya-kya mere aage

go hath ko jumbish nahi ankhon mein to dam hai
rahne do abhi sagar-o-mina mere aage

hampesha-o-hammasharab-o-hamraz hai mera
Ghalib? ko bura kyon kaho acha mere age

No comments:

Followers