Saturday, March 30, 2013

damaan bhi tere gham ne bighone nahin diya


Pathar bana diya mujhe rone nahin diya
damaan bhi tere gham ne bighone nahin diya

tanhaiyan tumhara pata poochhti rahe          
shab bhar tumhari yaad ne sone nahin diya

ankhon me aakar beth gayi annsoon ki lehar          
palkon pe koi khwaab pe rone nahin diya

dil ko tumhare naam ke ansoo aziz the          
duniya ka dard dil me samone nahin diya

kuch yoon uski yaad chali haath thaam ke          
mele me is jahan ko khone nahin diya

: Shoohrat : Anoop Jalota

No comments:

Followers