Friday, January 31, 2014

Subha hone ka jise sham se dar lagta hai

chand ka Khwab ujaalon ki nazar lagta hai
tu jidhar ho ke guzar jae Khabar lagta hai 

us ki yaadon ne uga rakkhe hain suraj itne 
shaam ka vaqt bhi aae to sahar lagta hai 

ek manzar pe thaharne nahin deti fitrat 
umr bhar aankh ki qismat mein safar lagta hai 

main nazar bhar ke tire jism ko jab dekhta hun 
pahli barish mein nahaya sa shajar lagta hai

be-sahara tha bahut pyaar koi puuchhta kya
tu ne kaandhe pe jagah di hai to sar lagta hai

teri qurbat ke ye lamhe use raas aaen kya
subha hone ka jise sham se dar lagta hai


By: Zabaab Waseeb Barewalvi

No comments:

Followers