Thursday, December 27, 2012

Karoon na yaad, magar kis tarah bhulaoon Usse

Karoon na yaad, magar kis tarah bhulaoon Usse
Ghazal bahana karoon aur gungunaaun usse


Woh khaar khaar hain, shaakh-e-gulaab ki manind
Main zakhm zakhm hoon, fhir bhi gale' lagaoon usse

Yeh log taskire' karte hain apne logon ke
Main kaise baat karoon, aur kahan se laoon usse

Jo humsafar sar-e-manzil bichhad raha hai 'Faraz'
ajab nahi ki agar yaad bhi na aao.n usse

By AHMAD FARAAZ

No comments:

Followers