Sunday, July 28, 2013

ataka kahin jo aap ka dil bhi isi tarah

roya karenge aap bhi pehron isi tarah
ataka kahin jo aap ka dil bhi isi tarah

na taab hijr men hai na aaraam vasl men
kambakht dil ko chain nahi hai kisi tarah

gar chup rahen to gam-e-hijran se chhoot jaayen
kehte to hain bhale ki wo lekin buri tarah

na jaaye wan bane hain na binjaaye chain hai
kya kijiye hamen to hai mushkil sabhi tarah

lagti hain galiyan bhi teri mujhe kya bhali
qurban tere, phir mujhe kehle isi tarah

hoon jaan-ba-lab butan-e-sitamgar ke haath se
kya sab jahan men jeete hain Momin isi tarah


By Gulam Ali..

No comments:

Followers