Tuesday, November 27, 2012

Kisi kisi ko Khuda ye kamaal deta hai

Wo to aaine ko bhi hairat mai daal deta hai
Kisi kisi ko Khuda ye kamaal deta hai

Naam ko bhi wafa jis ko yaad nahi
Wo sab ko apni wafa ki misaal deta hai

Or apna to taaluk us kabile se hai
Jo Naiki kar ke dariya mai daal deta hai..

No comments:

Followers