Wednesday, March 12, 2014

Aakhir is dard kee dawa kya hai

 Dil-e-Naadaan tujhe huaa kya hai ?
  Aakhir is dard  kee dawa kya hai

ham hain mushtaaq aur woh bezaar
 Ya ilaahee ! yeh maajra kya  hai ?

Main bhee munh mein zabaan rakhta hoon
kaash !   poocho  ki   "muddaa kya hai" ?

Jab ki tujh bin naheeN  koee maujood
fir ye hangaama, 'ei khuda ! kya hai

Ye  paree chehara log  kaise haiN ?
 GHamza-o-ishwa-o-'adaa   kya  hai ?

Shikan-e-zulf-e-ambaree   kyon hai ?
Nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai ?

 Sabja-o-gul kahaan se aaye hain ? 
 Abr kya cheez hai, hawa kya hai ?

  Hamko unse wafa ki hai ummeed
  jo naheeN jaante wafa kya hai

  "Haan bhala kar tera bhala hoga"
   Aur darvesh kee  sada  kya  hai ?
    
Jaan tum  par nisaar karta  hooN
maiN naheen jaanata duaa kya hai

maine maana ki kuchch naheeN 'GHalib'

muft  haath  aaye  to  bura  kya hai ?

No comments:

Followers