Thursday, December 27, 2012

Rootha hai agar woh to, mana kyoon nahi lete

Mausam ko isharon se bula kyoon nahi lete
Rootha hai agar woh to, mana kyoon nahi lete

Dewaana tumhara hoon, koi gair nahi hoon
machla hoon to seene' se laga kyoon nahi lete

Khat likh ke kabhi aur kabhi khat ko jala kar
Tanhayee ko rangeen bana kyoon nahi lete

Tum Jaag rahe ho, Mujhe accha nahi lagta
Chupke se meri neendh chura kyoon nahi lete

Teri ankhon mein humne kya dekha

Dil ke deewar-o-darr pe kya dekha
bus tera naam he likha dekha

Teri ankhon mein humne kya dekha
kabhi qatil, kabhi khuda dekha

Apni soorat lagi paraayi see
jabh kabhi humne aaina dekha

Hai andaaz tere rukne kaa
waqt ko bhi ruka ruka dekha

Tere jaane mein aur aaney mein
Humne sadiyon ka faasla dekha

Fhir na aaya khayal jannat ka
jabh tere ghar ka raasta dekha



----------------------------------------
By : Sudharshan Fakir

lut raha hun to ye jaagir bhi le ja mujhse.

jaane waale teri tasvir bhi le ja mujhse,
lut raha huN to ye jaagir bhi le ja mujhse.

lautkar phir kabhi aavaaz na dena mujhko,
pyaar karne kaa ye andaaz na dena mujhko,
haath meiN tutaa huaa saaz na dena mujkho,
tere khat teri ye tahreer bhi le ja mujhse.

ab mera aur meri maNzil kaa thikaana kya hai,
mujhse mat pooch ke jeene ka bahaana kya hai,
tu nahiH hai to zamaane ko dikhaana kya hai,
cheen kar ab meri taqdeer bhi le ja mujhse.

jaane kal kya ho teri aas rahe ya na rahe,
dil meiN ye daulat-e-ahsaas rahe ya na rahe,
zindagi meri mere paas rahe ya na rahe,
khaab tuta hai to taabeer bhi le ja mujhse.

jaane waale teri tasveer bhi le ja mujhse.

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai...

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hai

Woh na aaye to satati hai khalish see dil ko...
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hai

Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tasveer kahan hoti hai

Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hai

Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hai

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai
Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hai


Beautifully written by : Sahir Ludhianvi

Issi liye to woh rukh pe naqaab rakhte hain

Woh apne chehre mein, Sau aaftaab rakhte hain
Issi liye to woh rukh pe naqaab rakhte hain

Woh paas baithe' to aati hai dilruba khushboo
Woh apne honthon pe khilta gulaab rakhte hain

Har ikk waraq mein tum he tum ho jaan-e-mehboobi
Hum apne dil ki kuch aaisi kitaab rakhte hain

jahan-e-ishq mein Sohni kahin dikhayee de
hum apni aankh mein kitne Chenaab rakhte hain


--------------------------------------------------
Singer : Ghulam Ali
Poet : Hasrat Jaipuri
Album : Tere Sehar Main

jaane' kyoon ruswayion ka silsila rehne diya

Raaz ki baatein likhi aur khat khula rehne diya
jaane' kyoon ruswayion ka silsila rehne diya

Umr bhar mere saath rehkar, woh na samjha dil ke baat
do dilon ke darmiyaan, ikk faasila rehne diya

Apni fitrat woh badal paaya na, isske bawajood
khatm ki ranjish magar fhir bhi gila rehne diya

main samajhta thaa khushi degi mujhe 'Sabir' fareb
iss liye maine' ghamo.n se raabita rehne diya


-----------------------------------------------------
Singer : Ghulam Ali
Poet : Sabir Jalalabadi
Album : Tere Sehar Mein

itanaa Darate hein to phir ghar se nikalate kyooN heiN

log har moad pe ruk ruk ke sambhalate kyooN heiN
itanaa Darate hein to phir ghar se nikalate kyooN heiN

meiN na juganoo hooN diyaa hooN na koi taaraa hooN
raushani vaale mere naam se jalate kyooN heiN

neend se meraa ta'alluq hee nahiN barasoN se
Khvaab aa aa ke meri chat pe tahalate kyooN heiN

moad hotaa hai jawaani kaa sambhalane ke liye
aur sab log yahiN aake phisalate kyooN hein



-------------------------------------------
Singer : Jagjit Singh
Poet : Rahat Indori

Apni nazaron mein bassakar na giraana mujhko

Kachi deewaar hoon, thokar na lagaana mujhko
Apni nazaron mein bassakar na giraana mujhko

Tum ko aankhon mein tassavur ki tarah rakhta hoon
Dil mein dhadkan ke tarah tum bhi basaana mujhko

Baat karne mein jo mushkil ho tumhe mehfil mein
main samajh jaoonga, nazaron se bataana mujhko

Wada utna hee karo, jitna nibha sakte ho
khwaab poora jo na ho, woh na dikhaana mujhko

Apne rishte ki nazakat ka bhram rakh lena
main to ashiq hoon, dewaana na banana mujhko

Singer : Ghulam Ali
Poet : Israar Ansari
Album : Tere Shehar Mein

Karoon na yaad, magar kis tarah bhulaoon Usse

Karoon na yaad, magar kis tarah bhulaoon Usse
Ghazal bahana karoon aur gungunaaun usse


Woh khaar khaar hain, shaakh-e-gulaab ki manind
Main zakhm zakhm hoon, fhir bhi gale' lagaoon usse

Yeh log taskire' karte hain apne logon ke
Main kaise baat karoon, aur kahan se laoon usse

Jo humsafar sar-e-manzil bichhad raha hai 'Faraz'
ajab nahi ki agar yaad bhi na aao.n usse

By AHMAD FARAAZ

khatam yeh fasla nahin hota

Bawafaa bewafaa nahin hota
khatam yeh fasla nahin hota

kuchh to majboorian rahi hongi
yoon koi bewafaa nahin hota

jee bahut chahta hai sach bollen
kya karen housla nahin hota

jyada pee kar bahkane lagte hain
kam piyen to nasha nahin hota

raat ka intzaar kaun kare
aajkal din mein kya nahin hota

Likh Likh Ke Mera Naam Mitaane Se Kya Milaa

Deewaar-o-Dar Pe Naqsh Banaane Se Kya Milaa
Likh Likh Ke Mera Naam Mitaane Se Kya Milaa

Haan, Chaudhvi Ka Chaand Bhi Sharmaa Gayaa Zaroor
Ek Diljale Ke Dil Ko Jalaane Se Kya Milaaa

Aawaargi Sahi Hai Magar Yeh Bataaiye
Uski Gali Mein Aap Ko Jaane Se Kya Milaa

Chaaragari Se Jisko Adaawat Si Hai Usey
Dil Ke Hazaar Zaqm Dikhaane Se Kya Milaaa

Jo Ho Sake To Baatiye Apni Masarratein
Yeh Sochnaa Ghalat Ke Zamaane Se Kya Milaa

:-Beautiful lines by Mehandi Hasan

Friday, December 21, 2012

जिन्दगी तुझको जिया है कोई अफ़सोस नहीं,

जिन्दगी तुझको जिया है कोई अफ़सोस नहीं,
ज़हर ख़ुद मैंने पिया है कोई अफ़सोस नहीं,

मैंने मुजरिम को भी मुजरिम न कहा दुनिया में,
बस यही जुर्म किया है कोई अफ़सोस नहीं,

मेरी किस्मत में जो लिखे थे उन्ही काँटों से,
दिल के ज़ख्मों को सीया है कोई अफ़सोस नहीं,

अब गिरे संग के शीशों की हूँ बारिश ‘फाकिर’,
अब कफ़न ओढ़ लिया है कोई अफ़सोस नहीं,

ऐसा लगता है जिन्दगी तुम हो,

ऐसा लगता है जिन्दगी तुम हो,
अजनबी कैसे अजनबी तुम हो,

अब कोई आरजू नहीं बाकी,
जुस्तजू मेरी आखरी तुम हो,
 
मैं ज़मीन पर घना अँधेरा हूँ,
आसमानों की चांदनी तुम हो,

दोस्तों से वफ़ा की उम्मीदें,
किस ज़माने के आदमी तुम हो,

आइना झूठ बोलता ही नहीं,

जिन्दगी से बड़ी सज़ा ही नहीं,
और क्या जुर्म है पता ही नहीं,

इतने हिस्सों में बट गया हूँ मैं,
मेरे हिस्से में कुछ बचा ही नहीं,

सच घटे या बडे तो सच न रहे,
झूठ की कोई इन्तेहा ही नहीं,

जड़ दो चांदी में चाहे सोने में,
आइना झूठ बोलता ही नहीं,

फिर से एक बार मुझे मेरी जवानी दे दे,

देने वाले मुझे मौजों की रवानी दे दे,
फिर से एक बार मुझे मेरी जवानी दे दे,

अब्र तो जाम हो साकी हो मेरे पहलू में,
कोई तो शाम मुझे ऐसी सुहानी दे दे,

नशा आ जाए मुझे तेरी जवानी की क़सम,
तू अगर जाम में भर के मुझे पानी दे दे,

हर जवान दिल मेरे अफसाने को दोहराता रहे,
हश्र तक ख़त्म न हो ऐसी कहानी दे दे,

सफर मे धुप तो होगी जो चल सको तो चलो,

सफर मे धुप तो होगी जो चल सको तो चलो,
सभी हैं भीड़ में तुम भी निकल सको तो चलो,

किसी के वास्ते राहें कहाँ बदलती है,
तुम अपने आप को ख़ुद ही बदल सको तो चलो,

यहाँ किसी को कोई रास्ता नहीं देता,
मुझे गिरा के अगर तुम संभल सको तो चलो,

यही है जिन्दगी कुछ ख्वाब चाँद उम्मीदें,
इन्ही खिलोनों से तुम भी बहल सको तो चलो,

मेरी तरफ़ ज़माने की उठती हैं ऊँगलियाँ,

जब तेरा नाम प्यार से लिखती हैं ऊँगलियाँ,
मेरी तरफ़ ज़माने की उठती हैं ऊँगलियाँ,

दामन सनम का हाथ में आया था एक पल,
दिन रात उस एक पल से महकती हैं ऊँगलियाँ,

जब से दूर हो गए हो उस दिन से ही सनम,
बस दिन तुम्हारे आने के गिनती हैं ऊँगलियाँ,

पत्थर तराश कर ना बना ताज एक नया,
फनकार के ज़माने में कट्ठी हैं ऊँगलियाँ,

Uniqe by DESIRES: JAGJIT SINGH

Friday, December 14, 2012

O Mitti Da Baba Nayiyo Bolda,

Mitti Da Baba Main Banani Ha,
Weh Zhaka Pandi Ha,
Weh Uthe Dendi Ha Khese,
Na Ro Mitti Deya Babeya,
Weh Tera Pyo Pardeshi,

O Mitti Da Baba Nayiyo Bolda,
Mitti Da Baba Nayiyo Bolda,
Weh Nayiyo Chalda,
Weh Nayo Denda Hai Hungare,
Na Roo Mitti Deya Babeya,
Weh Tera Pyo Banjara,

Kite Ta Lawa Kaliya,
Weh Pata Waliya,
Weh Mera Ptla Mahi,
Kite Ta Lawa Shetut,
Weh Menu Smaz Na Aawe

Ruhaani Ehsah ...  Jagjeet singh

tera mujrim hun mujhe doob ke mar jane de

Apni aankhon ke samundar mein utar jaane de
tera mujrim hun mujhe doob ke mar jane de
 
aye naye dost na samjhunga tujhe bhi apna
pehle maazi ka koi zakhm to bhar jaane de
 
aag duniya ki lagayee hui bujh jayegi
koi aansoon mere daaman pe bikhar jaane de
 
zakhm kitne teri chahat se mile hain mujhko
sochta hun ke kahun tujh se magar jaane de.

Tuesday, December 11, 2012

Jane kya baat thi, har baat pe rona aaya..

Aye Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya,
Jaane Kyun Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya

Yun To Har Shaam Ummeedon Mein Guzar Jaati Thhi,
Aaj Kuch Baat Hai, Jo Shaam Pe Rona Aaya

Kabhi Taqdir Ka Maatam, Kabhi Duniya Ka Gila,
Manzil-E-Ishq Mein Har Ghum Pe Rona Aaya

Jab Hua Zikr Zamaane Mein Mohabbat Ka,
Mujhko Apne Dil-E-Bekaam Pe Rona Aaya

Saif yeh din to qayamat ki tarah guzra hai,
Jane kya baat thi, har baat pe rona aaya..


Amazing and meaning full line by : SAIF

Friday, December 7, 2012

Itni khusiyaan kahaan se laate ho.

Jab bhi miltey ho, muskurate ho
Itni khusiyan kahaan se laate ho.

Roz karte ho ek naya waada
roz ik waada bhul jaate ho.
Itni khusiyaan kahaan se laate ho.


Paas aane mein kuch maaze bhi hain
Door se kya fareb khate ho.

Meri yaadon ki reh guzar mein shaki
Tum hazaron diye jalate ho.

Jab Bhi miltey ho , muskurate ho.
Itni khusiyaan kahaan se laate ho.
Jab bhi miltey ho muskurate ho..

By Hariharan...

Mere seeney pe jugnu beej bo jaye to acha hai,

Koi kaanta mere dil mein chubho jaye to acha hai,
Hamesha ke liye woh mujhse kho jaye to acha hai,

Rakhen ge is tarah dhoke se kab tak khawab ankhon mein,
Jo hona kal hai woh sab aaj ho jaye to acha hai,

Kabhi sheher-e-tamana ne kabhi kisi ne phool paaye kya,
Yeh titlee soch kar kaanton per so jaye to acha hai,

Kayi din se mere ghar ke dar-o-deewar hain viraan,
Kisi ke wasl ki baarish jo ho jaye to acha hai,

Jahan par phool khilte they wahan ab khaak urrti hai,
Mere seeney pe jugnu beej bo jaye to acha hai,

Mein pathar ho gaya hoon gham se aesa reh nahin sakta,
Agar barish mera chehera bhigo jaye to acha hai,

Yeh maana hijrtain is gaaon se zaroori hain,
Meri basti mere andar samo’o jaye to acha hai,

Mein ab ke chahta hoon yeh ke is saawan jo barish ho,
Puraney mausmon ke rang dho jaye to acha hai,

Bhanwar se bheek mangey ga? Teri fitrat nahin Sahir,
Tu kashti aap hi apni dabo’o jaye to acha hai

Thursday, December 6, 2012

दोस्ती जब किसी से की जाए,

दोस्ती जब किसी से की जाए,
दुश्मनों की भी राय ली जाए,

मौत का ज़हर है फिजाओं में,
अब कहाँ जा के साँस ली जाए,

बस इसी सोच में हूँ डूबा हुआ,
ये नदी कैसे पार की जाए,

मेरे माजी के ज़ख्म भरने लगे,
आज फिर कोई भूल की जाए,

बोतलें खोल के तू पी बरसों,
आज दिल खोल के भी पी जाए,

In Search

अपनी वफ़ा का सोच के अंजाम रो पड़े,

उल्फत का जब किसी ने लिया नाम रो पड़े,
अपनी वफ़ा का सोच के अंजाम रो पड़े,

हर शाम ये सवाल मोहब्बत से क्या मिला,
हर शाम ये जवाब के हर शाम रो पड़े,

राह-ऐ-वफ़ा में हमको खुशी की तलाश थी,
दो कदम ही चले थे के हर कदम रो पड़े,

रोना नसीब में है तो औरों से क्या गिला,
अपने ही सर लिया कोई इल्जाम रो पड़े,

वो कौन है, दुनिया में जिसे, गम नहीं होता,

वो कौन है, दुनिया में जिसे, गम नहीं होता,
किस घर में खुशी होती है, मातम नहीं होता,

ऐसे भी हैं, दुनिया में जिन्हें, गम नहीं होता,
एक गम हैं हमारा, जो कभी कम नहीं होता,

क्या सुरमा भरी, आंखों से, आंसू नहीं गिरते,
क्या मेहंदी लगे, हाथों से, मातम नहीं होता,

कुछ और भी, होती है, बिगाड़ने की अदाएं,
बनने मी सवारने मे, ये आलम नहीं होता,

जो देखने में नही कुछ, कमाल होते है,

जवाब जिनका नही वो सवाल होते है,
जो देखने में नही कुछ, कमाल होते है,

तराश्ता हूँ तुझे जिन में अपने लफ्जों से,
बहुत हसीन मेरे वो ख्याल होते है,

हसीन होती है जितनी बला की दो आँखें,
उसी बला के उन आंखों में जाल होते हैं,

वह गुनगुनाते हुए, यूँही, जो उठाते है,
क़दम कहाँ, वो क़यामत की चाल होते हैं,

वक़्त की शाख से लम्हे नहीं तोड़ा करते,

हाथ छूटे भी तो रिश्ते नहीं छोड़ा करते,
वक़्त की शाख से लम्हे नहीं तोड़ा करते,

जिस की आवाज़ में सिलवट हो निगाहों में शिकन,
ऐसी तस्वीर के टुकड़े नहीं जोड़ा करते,

शहद जीने का मिला करता है थोड़ा थोड़ा,
जानेवालों के लिये दिल नहीं तोड़ा करते,

लग के साहिल से जो बहता है उसे बहने दो,
ऐसे दरिया का कभी रुख़ नहीं मोड़ा करते.

Lovely Album.. Marasim.

तेरी मरजी के मुताबिक नज़र आए कैसे,

अपने चेहरे से जो जाहिर है, छुपाये कैसे,
तेरी मरजी के मुताबिक नज़र आए कैसे,

घर सजाने का तसबुर तो बहुत बाद का है,
पहले यह तय हो के इस घर को बचाए कैसे,

कहकहा आंख का बर्ताव बदल देता है,
हँसने वाले तुझे आंसू नज़र आये कैसे,

कोई अपनी ही नज़र से जो हमे देखेगा,
एक कतरे को समंदर नज़र आये कैसे,

CRY FOR CRY

हम तुम्हें अपना समझते थे, बढा धोखा हुआ,

तुमने दिल की बात कह दी, आज ये अच्छा हुआ,
हम तुम्हें अपना समझते थे, बढा धोखा हुआ,

जब भी हमने कुछ कहा, उसका असर उल्टा हुआ,
आप शायद भूलते है, बारहा ऎसा हुआ,

आपकी आंखों में ये आंसू कहाँ से आ गये,
हम तो दिवाने है लेकिन आप को ये क्या हुआ,

अब किसी से क्या कहें इकबाल अपनी दास्तां,
बस खुदा का शुक्र है जो भी हुआ अच्छा हुआ,

Lyrics: Iqbaal Azim
Singer: Jagjit Singh 
Album:Sehar

हमको अब तक आशिक़ी का वो ज़माना याद है,

चुपके चुपके रात दिन आँसू बहाना याद है,
हमको अब तक आशिक़ी का वो ज़माना याद है,


बाहज़ारां इज़्तिराब-ओ-सदहज़ारां इश्तियाक,
तुझसे वो पहले पहल दिल का लगाना याद है,


तुझसे मिलते ही वो कुछ बेबाक हो जाना मेरा,
और तेरा दाँतों में वो उँगली दबाना याद है,


खींच लेना वो मेरा पर्दे का कोना दफ़्फ़ातन,
और दुपट्टे से तेरा वो मुँह छिपाना याद है,


जानकर सोता तुझे वो क़सा-ए-पाबोसी मेरा,
और तेरा ठुकरा के सर वो मुस्कुराना याद है,


तुझ को जब तन्हा कभी पाना तो अज़राह-ए-लिहाज़,
हाल-ए-दिल बातों ही बातों में जताना याद है,


जब सिवा मेरे तुम्हारा कोई दीवाना ना था,
सच कहो क्या तुम को भी वो कारखाना याद है,


ग़ैर की नज़रों से बचकर सब की मर्ज़ी के ख़िलाफ़,
वो तेरा चोरीछिपे रातों को आना याद है,


आ गया गर वस्ल की शब भी कहीं ज़िक्र-ए-फ़िराक़,
वो तेरा रो-रो के मुझको भी रुलाना याद है,


दोपहर की धूप में मेरे बुलाने के लिये,
वो तेरा कोठे पे नंगे पाँव आना याद है,


देखना मुझको जो बर्गश्ता तो सौ सौ नाज़ से,
जब मना लेना तो फिर ख़ुद रूठ जाना याद है,


चोरी चोरी हम से तुम आकर मिले थे जिस जगह,
मुद्दतें गुज़रीं पर अब तक वो ठिकाना याद है,


बेरुख़ी के साथ सुनाना दर्द-ए-दिल की दास्तां,
और तेरा हाथों में वो कंगन घुमाना याद है,


वक़्त-ए-रुख़सत अलविदा का लफ़्ज़ कहने के लिये,
वो तेरे सूखे लबों का थरथराना याद है,


बावजूद-ए-इद्दा-ए-इत्तक़ा ‘हसरत’ मुझे,
आज तक अहद-ए-हवस का ये फ़साना याद है,


तू कभी खुद को भी देखेगा तो ड़र जायेगा

आँख से दूर न हो दिल से उतर जायेगा
वक़्त का क्या है गुज़रता है गुज़र जायेगा


इतना मानूस न हो ख़िलवतेग़म से अपनी
तू कभी खुद को भी देखेगा तो ड़र जायेगा


तुम सरेराहेवफ़ा देखते रह जाओगे
और वो बामेरफ़ाक़त से उतर जायेगा


ज़िंदगी तेरी अता है तो ये जानेवाला
तेरी बख़्शिश तेरी दहलीज़ पे धर जायेगा


ड़ूबते ड़ूबते कश्ती को उछाला दे दूँ
मै नहीं कोई तो साहिल पे उतर जायेगा


ज़ब्त लाज़िम है मगर दुख है क़यामत का ‘फ़राज़’
ज़ालिम अब के भी न रोयेगा तो मर जायेगा..



Sajda :  By Jagjit singh
Aise Tere Bagair Jiye Jaa Rahe Hai Hum
Jaise Koi Gunhaan Kiye Jaa Rahe Hai Hum

Tu Zindagi Hai Tujhse Rahe Door Kis Tarah
Mar Mar Ke Jee Rahe Hai Tere Gham Me Is Tarah
Ilzaam Jaise Koyee Liye Jaa Rahe Hai Hum
Jaise Koi Gunhaan Kiye Jaa Rahe Hai Hum

Kahte Hai Log Jhinda Hai Tujhse Bichad Ke Hum
Lekin Teri Judayee Me Bichde Huye Sanam
Kandho Pe Aapni Laash Liye Jaa Rahe Hai Hum
Jaise Koi Gunhaan Kiye Jaa Rahe Hai Hum

Dil Ro Raha Hai Aankh Me Aansoo Magar Nahin
Ruswan Na Tera Pyar Ho Fariyaad Se Kahin
Is Dar Se Aapne Honth Siye Jaa Rahe Hai Hum
Jaise Koi Gunhaan Kiye Jaa Rahe Hai Hum

Amazing lines by chandan DAS

Wednesday, December 5, 2012

और फिर आँख चुराते हो ये क्या करते हो

बज़्म-ए-दुश्मन में बुलाते हो ये क्या करते हो
और फिर आँख चुराते हो ये क्या करते हो

बाद मेरे कोई मुझ सा ना मिलेगा तुम को
ख़ाक में किस को मिलाते हो ये क्या करते हो

छींटे पानी के ना दो नींद भरी आँखों पर
सोते फ़ितने को जगाते हो ये क्या करते हो
 
हम तो देते नहीं क्या ये भी ज़बरदस्ती है
छीन कर दिल लिये जाते हो ये क्या करते हो

हो ना जाये कहीं दामन का छुड़ाना मुश्किल
मुझ को दीवाना बनाते हो ये क्या करते हो

जान-ए-मन रात गुज़रने दो सहर होने दो

वस्ल की रात तो राहत से बसर होने दो
शाम से ही है ये धमकी के सहर होने दो

जिसने ये दर्द दिया है वो दवा भी देगा
लादवा है जो मेरा दर्द-ए-जिगर होने दो

ज़िक्र रुख़सत का अभी से न करो बैठो भी
जान-ए-मन रात गुज़रने दो सहर होने दो

वस्ल-ए-दुश्मन की ख़बर मुझ से अभी कुछ ना कहो
ठहरो ठहरो मुझे अपनी तो ख़बर होने दो

ज़िंदगी क्या है किताबों को हटा कर देखो

धूप में निकलो घटाओं में नहा कर देखो
ज़िंदगी क्या है किताबों को हटा कर देखो

वो सितारा है चमकने दो यूँ ही आँखों में
क्या ज़रूरी है उसे जिस्म बनाकर देखो

पत्थरों में भी ज़ुबां होती है दिल होते हैं
अपने घर के दरोदीवार सजा कर देखो

फ़ासला नज़रों का धोखा भी तो हो सकता है
वो मिले या न मिले हाथ बढ़ा कर देखो

Lyrics: Nida Fazli

किसी भी आईने में देर तक चेहरा नहीं रहता,

परखना मत परखने में कोई अपना नहीं रहता,
किसी भी आईने में देर तक चेहरा नहीं रहता,

बड़े लोगो से मिलने में हमेशा फासला रखना,
जहा दरिया समंदर से मिला दरिया नहीं रहता,

तुम्हारा शहर तो बिलकुल नए अंदाज़ वालाहाई,
हमारे शहर में भी अब कोई हमसा नहीं रहता,

मोहब्बत एक खुसबू है हमेशा साथ चलती है,
कोई इंसान तन्हाई में भी तनहा नहीं रहता..

Aaina.....

ज़िन्दगी दो दिन की है दो दिन में हम क्या क्या करें,

ये करें और वो करें ऐसा करें वैसा करें,
ज़िन्दगी दो दिन की है दो दिन में हम क्या क्या करें,

जी में आता है की दें परदे से परदे का जवाब,
हम से वो पर्दा करें दुनिया से हम पर्दा करें,

सुन रहा हूँ कुछ लुटेरे आ गये हैं शहर में,
आप जल्दी बांध अपने घर का दरवाजा करें,

इस पुरानी बेवफ़ा दुनिया का रोना कब तलक,
आइये मिलजुल के इक दुनिया नयी पैदा करें..

चार किताबे पढ़ कर वो भी हम जैसे हो जायेंगे,

तन्हा-तन्हा हम रो लेंगे महफ़िल-महफ़िल गायेंगे,
जब तक आंसू साथ रहेंगे तब तक गीत सुनायेंगे,

तुम जो सोचो वो तुम जानो हम तो अपनी कहते हैं,
देर न करना घर जाने में वरना घर खो जायेंगे,

बच्चों के छोटे हाथों को चाँद सितारें छूने दो,
चार किताबे पढ़ कर वो भी हम जैसे हो जायेंगे,

किन राहों से दूर है मंजिल कौन सा रास्ता आसान है,
हम जब थक कर रुक जायेंगे, औरों को समझायेंगे,

अच्छी सूरत वाले सारे पत्थर दिल हों मुमकिन है,
हम तो उस दिन रायें देंगे जिस दिन धोखा खायेंगे..

Beautiful lines by Chitra singh

जो बिछ गया तेरे क़दमों में आसमान की तरह,

कभी तो खुल के बरस अब के मेहरबान की तरह,
मेरा वजूद है जलते हुए मकां की तरह,

मैं इक ख्वाब सही आपकी अमानत हूँ,
मुझे संभाल के रखियेगा जिस्म-ओ-जान की तरह,
 
कभी तो सोच के वो साक्ष किस कदर था बुलंद,
जो बिछ गया तेरे क़दमों में आसमान की तरह,

बुला रहा है मुझे फिर किसी बदन का बसंत,
गुज़र न जाए ये रूठ भी कहीं खिज़ां की तरह..

A- Sound affair..

उसका जो ख़त मिला तो मुझे सोचना पड़ा,

देखा जो आइना तो मुझे सोचना पड़ा,
खुद से न मिल सका तो मुझे सोचना पड़ा,

उसका जो ख़त मिला तो मुझे सोचना पड़ा,
अपना सा वो लगा तो मुझे सोचना पड़ा,

मुझको था गुमान के मुझी में है एक अना,
देखा तेरी अना तो मुझे सोचना पड़ा,

दुनिया समझ रही थी के नाराज़ मुझसे है,
लेकिन वो जब मिला तो मुझे सोचना पड़ा,

इक दिन वो मेरे ऐब गिनाने लगा करार,
जब खुद ही थक गया तो मुझे सोचना पड़ा..

दिल पे नश्तर भी लगाते हो तो मरहम की तरह..

कभी गुंचा कभी शोला कभी शबनम की तरह,
लोग मिलते हैं बदलते हुए मौसम की तरह,

मेरे महबूब मेरे प्यार को इलज़ाम न दे,
हिज्र में ईद मनाई है मुहर्रम की तरह,

मैंने खुशबू की तरह तुझको किया है महसूस,
दिल ने छेड़ा है तेरी याद को शबनम की तरह,

कैसे हमदर्द हो तुम कैसी मसीहाई है,
दिल पे नश्तर भी लगाते हो तो मरहम की तरह..

Saturday, December 1, 2012

khush hote hain par wasl mein yun mar nahi jate, ai shab-e-hijaran ki tamanna mere aage

bazicha-e-atfal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamasha mere aage

ik khel hai aurang-e-suleman mere nazdik
ik bat hai ejaz-e-masiha mere aage

juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzur
juz waham nahi hasti-e-ashiya mere aage

hota hai nihan gard mein sehra mere hote
ghista hai jabin khak pe dariya mere aage

mat puch k kya hal hai mera tere piche
tu dekh k kya rang hai tera mere aage

sach kahte ho khudbin-o-khudara hun na kyon hun
baitha hai but-e-aina sima mere aage

phir dekhiye andaz-e-gulafshani-e-guftar
rakh de koi paimana-e-sahba mere aage

nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzra
kyon kar kahun lo nam na us ka mere aage

iman mujhe rok hai jo khinche hai mujhe kufr
kaba mere piche hai kalisa mere aage

ashiq hun pe mashuqfarebi hai mera kam
majnun ko bura kahti hai laila mere aage

khush hote hain par wasl mein yun mar nahi jate
ai shab-e-hijaran ki tamanna mere aage

hai maujzan ik qulzum-e-khun kash! yahi ho
ata hai abhi dekhiye kya-kya mere aage

go hath ko jumbish nahi ankhon mein to dam hai
rahne do abhi sagar-o-mina mere aage

hampesha-o-hammasharab-o-hamraz hai mera
Ghalib? ko bura kyon kaho acha mere age

Itni Mulaqat Bohot Hai

Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hai
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hai

Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
Aisay Main Kahan JaoGi Barsaat Bohot Hai

Wo Kehne Lagi Jana Mera Bohot Zaroori Hai
Nahi Chahti Dil Todun Tera Par Majboori Hai

Gar Hui Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena
Maine Kaha Ho jao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hai

Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai

Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke
Saari Zindagi Tanhayee Ke Liye, Aaj Ki Raat Bohot Hai

Jab aankh hi se na tapka to fir lahoo kya hai?

Har ek baat pe kehte ho tum ke  'too kya hai' ?
        Tumheen kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai?

      Ragon mein daudte firne ke ham naheen qaayal
        Jab aankh hi se na tapka to fir lahoo kya hai?

      Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
        Hamaari  jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai?

      Jalaa hai jism jahaan dil bhee jal gaya hoga
        Kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?

woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?

na shole mein yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai?

      Rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
        To kis ummeed pe  kahiye ke aarzoo kya hai ?

yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?

bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN ?GHalib? kee aabroo kya hai ?

:-Something awesome by Ghalib Sahab 


 ?





Thursday, November 29, 2012

tumhare naam ki ek khoobsurat shaam ho jaaye

kabhi toh aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye
tumhare naam ki ek khoobsurat shaam ho jaaye


woh mera naam sun kar kuchh zara sharma se jaate hai
bahut mumkin hai kal iska mohabbat naam ho jaaye

zara sa muskurakar haal poochho dil behal jaaye
hamara kaam ho jaaye tumhara naam ho jaaye

ujale apani yaadon ke hamare saath rehne do
na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye

kabhi toh aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye
tumhare naam ki ek khoobsurat shaam ho jaaye

zakhm kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jaate hain...

dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
ZaKham kaise bhi hoN kuchh roz mein bhar jaate hain

us dariche mein bhi ab koi nahin aur ham bhi
sar jhukaaye huey chupchaap guzar jaate hain

raastaa roke khadi hai yahi uljhan kabse
koi poochhe to kahen kyaa ki kidhar jaate hain

naram aavaaz, bhali baaten muhazzab lahje
pahli baarish mein hi ye rang utar jaate hain

dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
zaKhm kaise bhi hoN kuchh roz mein bhar jaate hain.

:-Real truth of life

muddaton baad mere aankh main aansu aaye

raat aankhon main dhali palkon pe jugnu aaye
hum hawao ki tarah jaake use chu aaye

bas gayi hain mere ehsaas main yeh kaisi mehak
koi khusbu main lagau teri khusbu aaye

usne chukar mujhe pathhar se phir insaan kiya
muddaton baad mere aankh main aansu aaye

maine din raat khuda se yeh dua maangi thi
koi aahat na ho dar par mere jab tu aaye

hum hawao ki tarah jaake use chu aaye
raat aankhon main dhali palkon pe jugnu aaye

:- Recalling the feelings..  

Tuesday, November 27, 2012

Kaash aisa koi manzar hotha
Mera kaanthe pe theraa ser hothaa

Jamaa karthaa jo me aaye huve sang
Ser chupaane keliye ghar hotha


Is palandi pe bahuth thanhaa hoom
Kaash mein sab ke barabar hothaa

Usne uljhaa dhiya dhuniyaa mein mujhe
Varna ek aur kalandar hothaa

Kisi kisi ko Khuda ye kamaal deta hai

Wo to aaine ko bhi hairat mai daal deta hai
Kisi kisi ko Khuda ye kamaal deta hai

Naam ko bhi wafa jis ko yaad nahi
Wo sab ko apni wafa ki misaal deta hai

Or apna to taaluk us kabile se hai
Jo Naiki kar ke dariya mai daal deta hai..

Woh Kaash Poochte Mujhse Ke Aarzoo Kya Hai.

Yeh Aaine Se Akele Mein Guftagu Kya Hai
Jo Mein Nahi Hoon To Phir Tere Rubaru Kya Hai.

Isi Umeed Mein Kaati Hai Zindagi Meine
Woh Kaash Poochte Mujhse Ke Aarzoo Kya Hai.

Yeh Rang E Gul Yeh Shafaq Aur Taavish E Anjum
Tera Jamal Nahi Hai To Chaarsu Kya Hai.
 
Kyon Unke Saamne Tum Dil Ki Baat Karte Ho
Jo Khud Samajhte Nahi Dil Ki Aabru Kya Hai.

:-Great lines by Hariharan

Har Kadam me teri hi aahat sunai deti hai

Har Kadam mein teri hi aahat sunaai deti hai
Kya karu ki dard ab teri judaai deti hai
Neend bhar soye hue arsa hua mujhko
ke rat bhar khwaabo mein ab tu hi dikhaai deti hai

Khil khilahat se teri khilta tha yoon jo ghar
Khaamsohi ab deewar pe chaspa sunai deti hai
Jhoothi khushi se rokta hu saaki main apna gham
Tanhaai aa aa kar mujhe sachhi rulaai deti hai

Kahte hain kaaynaat me rangi hai har ek shai
tere bin kaaynaat par feeki dikhaayi deti hai
Ret ke maanind fisla ja raha hai waqt
ghari ki tik tik me teri halchal sunai deti hai

Chalte-chalte raaho me ab bahakte hain kadam
Hawa ke jhonko me tu hansti sunai deti hai
Mahfil-o-masti me tujhe ja ke kya dhundhe hum
Mehfil bhi tere bin marghat dikhayi deti hai

Har Kadam me teri hi aahat sunai deti hai
Kya karu ki dard ab teri judaai deti hai
Neend bhar soye hue arsa hua mujhko
ke rat bhar khwabo me ab tu hi dikhai deti hai


:-  Some thing close to my heart.

Monday, November 26, 2012

Dard hote hain kai, dil main chhupane ke liye,

Dard hote hain kai, dil main chhupane ke liye,
Saare aashu nahi hote hain, bahaane ke liye,

Umar tanha kaat di wada nibhane ke liye
Ahad bandha tha koi aazmane ke liye,

kuch diye diwar pe rakhe tere intezar main
kuch diye laya hu palko pe sajaane ke liye,

Wo musafir to  mile the ek lamhe ke liye,
Umar sari kat di unko bhulane ke liye ,

koi gam ho koi dukh ho dard ho koi ,
muskrana pad hi jata hai jamaane ke liye....

:- Voice of the heart

ke laut aate hain panchi bhi ghar ko shaam dhale

Chali aati hain dabe paaon teri yaadein shaam dhale
ke hoti hai chirageen dil ki mehfil shaam dhale

Huye tum kin raahon ke musaafir,itna to bata dete
ke laut aate hain panchi bhi ghar ko shaam dhale

Tere intezaar mein yoon har roz jhilmilati hain aankhen
ke jaise mazaar pe jalta hai koi diya shaam dhale

Laut aaye na kahin takra ke arsh se duaa meri
dil se aati hai aksar ye sadaa shaam dhale

Teri doori ka gham sataata rehta hai mujh ko
tujh bin udaas si hoti hai fazaa shaam dhale

Teri yaadon se bandhi rehti hai dil ki dharkan
har dharkan se tere naam ki aati hai sadaa shaam dhale

Din ka koi pal bhi teri yaad se ghaafil nahi hota
teri kami ka magar hota hai ehsaas shaam dhale





Self Motivation

Apna Gham leke kahin aur na jaaya jaaye
Ghar mein bikhri huyi cheezon ko sajaayaa jaaye

Jin chiraagon ko hawaaon ka koi Khauf nahi
Un chiraagon ko hawaaon se bachaaya jaaye

Baag mein jaane ke adab hua karte hain
Kisi titli ko na phoolon se udaaya jaaye

Khud kushi karne ki himmat nahi hoti sab mein
Aur kuchh din yun hi auron ko sataayaa jaaye

Ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar len
Kisi rote huye bachche ko hansaaya jaaye


: Nida Fazli..

Sunday, November 25, 2012

Unkee soorat nazar aaye to GHazal kehte haiN

husn ko chaaNd javaanee ko kanval kehte haiN
unkee soorat nazar aaye to GHazal kehte haiN

uf! vo marmar se taraasha hua shafaaf badan
dekhne vaale use taaj mahal kehte haiN

paD gayee paaoN meiN taqdeer kee zanjeer to kya
ham to usko bhee teree zulf ka bal kehte haiN

mujhko maaloom nahee iske siva kuch bhee katee
jo sadee vasl meiN guzre use pal kehte haiN.
 
 

Vo baat zabaanee keh denge

Kuch door hamaare saat chalo
Ham dil ki kahaanee keh denge
Samjhe na jise tum aankhoN se
Vo baat zabaanee keh denge

PhooloN ki tarah jab hoTon pe
Ik shoKH tabassum bikhrega
Dheere se tumhaare kaanoN meiN
Ik baat puraanee keh deNge

Izhaar-e-vafa tum kya jaano
Ikraar-e-vafa tum kya jaano
Ham zikr karenge GHairoN ka
Aur apnee kahaanee keh deNge

Mausam to baDa hee zaalim hai
Toofaan uTHaata rehta hai
Kuch log magar is halchal ko
Bad-mast javaanee keh deNge..
 
 
:-Something amazing by Hariharan 

Saturday, November 24, 2012

Kabhi jo mera khuda raha tha

Wo khat ke purze uda raha tha
Hawao ka rukh dikha raha tha

Kuch aur bhi ho gaya numaya

Me apna likha mita raha tha

Usi ka iman badal gaya hai

Kabhi jo mera khuda raha tha

Wo ek din ek ajnabhi ko

Meri kahani suna raha tha
 

Wo umar kam kar raha tha meri
Me saal apne bada raha tha





: Royal Solute to Jagjeet singh

Bhool Jana Mujhe Aasan Nahi Hai Itna

Aaina Saamne Rakho Ge To Yaad Aaonga
Apni Zulfon Ko Sanwaaro Ge To Yaad Aaonga
 

 Bhool Jana Mujhe Aasan Nahi Hai Itna
Jab Mujhe Bhoolna Chaaho Ge To Yaad Aaonga


Ek Din Bheege The Barsaat Mein, Ham Tum, Dono
Ab Jo Barsaat Mein Bheego Ge To Yaad Aaonga


Yaad Aaonga Udaasi Ki Jo Rut Aaegi
Jab Koi Jashn Manaao Ge To Yaad Aaonga

Apni Zulfon Ko Sanwaaro Ge To Yaad Aaonga
Aaina Saamne Rakho Ge To Yaad Aaonga



Inteha:- By Ghazal Maestro:.. Jagjeet Singh

Sawaal Yeh Hai Kitaabon Ne Kya Diya Mujhko....


Dhuan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko
main Jal Raha Tha Kisi Ne Bujha Diya Mujhko


khada Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harq Liye 
sawaal Yeh Hai Kitaabon Ne Kya Diya Mujhko

safed Sang Ki Chaadar Lapet Kar Mujh Par 
fasil-E-Shaher Mein Kisne Saja Diya Mujhko


main Ek Zarra Bulandi Ko Chhoone Nikla Tha
hawa Ne Thaam Se Zameen Par Gira Diya Mujhko

Dhuan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko

Shayari Sach Bolti Hai


Laakh Pardon Main Rahoon Bhed Mere Kholti Hai
Shayari Sach Bolti Hai
Main Ne Dekha Hai ke Jab Meri Zuban Dolti Hai
Shayari Sach Bolti Hai


Tera Israar K Chahat Meri Be-Taab Na Ho
Waqif Is Gham Say Mera Halka-e-Ahbaab Na Ho
Tu Mujhe Zabt Ke Sehraoon Main Kyon Rolti Hai
Shayari Sach Bolti Hai


Yeh Bhi Kya Baat K hai k Chup Chup Ke Tujhe Pyar Keroon
Gar Koi Pooch Hi Baithe To Main Inkaar Karoon
Jab Kissi Ki Baat Ko Dunya Ki Nazar Tolti Hai
Shayari Sach Bolti Hai


Main Ne Is Fiker Main Kaati Kayi Raaten Kayi Din
Meri Shayri Main Tera Naam Na Aaye Laikin
Jab Teri Saans Meri Saans Main Ras Gholti Hai
Shayari Sach Bolti Hai 


: A tribute to Mehandi Hasan 

tumhi kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?


Har ek baat pe kehte ho tum ke ?too kya hai? ?
tumhi kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?
yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?
jalaa hai jism jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?
piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?
rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN ?GHalib? kee aabroo kya hai ?

Wednesday, November 21, 2012


Rind Jo Mujh Ko Samjhate Hai Unhe Hosh Nahin,
Mayekada Saaz Hu Main, Mayekada Bardosh Nahi,


Ye Alag Baat Hai Saaki, Ke Muhe Hosh Nahi,
Warna Main Kuch Bhi Hu, Ehsaan Framosh Nahi,



Paav Unth sakte Nahi Manjile Jana Ke Khilaf,
Aur Agar Hosh Ki Pucho, To Mujhe Hosh Nahi,


Ab To Tasir - E - Game Ishq Yaha Tak Phuchi,
Ke Idhar Hosh Main Hai, To Udhar Hosh Nahi,

Jo Mujhe Dekhta Hai, Naam Tera Leeta Hai,
Main To Khamosh Hu, Halat Meri Khamosh Nahi,

Mehbe Tasbir To Sab Hai, Magar Idhraak Kaha,
Zindagi Khud Hi Ibadat Hai, Magar Hosh Nahi,

Kabhi Unmad Bhari Aakho Se, Piya Tha Ek Jaam,
Aaj Tak Hosh Nahi, Hosh Nahi, Hosh Nahi, 

Milke Ek Bar Gya Hai, Koi Jis Din Se Jigar,
Mujh Ko Yeh Veham, Shaayed Mera Ab Hosh Nahi

:- Zigar Moradabadi

Aap Jab Hain To Zamane Ki Zaroorat Kya Hai

Be Sabab Bat Badhane Ki Zaroorat Kya Hai
Hum Khafa Kab The Manane Ki Zaroorat Kya Hai


Aap Ke Dam Se To Duniya Ka Bharam Hai Qayam
Aap Jab Hain To Zamane Ki Zaroorat Kya Hai

Tera Koocha, Tera Dar, Teri Gali Kafi Hai

Be-thikanon Ko Thikane Ki Zaroorat Kya Hai


Dil Se Milne Ki Tamanna Hi Nahin Jab Dil Mein
Hath Se Hath Milane Ki Zaroorat Kya Hai

Rang Aankhoon Ke Liye, Boo Hai Damaghoon Ke Liye

Fool Ko Haath Lagane Ki Zaroorat Kya Ha


Few golden lines frm the albub "face to face"

:-DEDICATED TO  MY VERY SPECIAL FRIEND

Monday, November 19, 2012

Aao k koi Khwaab bunein

Aao k koi Khwaab buneiN, kal ke vaaste
varnaa ye raat, aaj ke sangeen daur ki
Das legi jaan-o-dil ko kuchh aise k jaan-o-dil
taa-umr phir na koi haseeN Khwaab bun sakeiN

go hamse bhaagti rahi ye tez-gaam umr
KhwaaboN ke aasre pe kaTii hai tamaam umr

zulfoN ke Khwaab, hoNToN ke Khwaab, aur badan ke Khwaab
mairaaj-e-fan ke Khwaab, kamaal-e-suKhan ke Khwaab
tahzeeb-e-zindagii ke, faroGh-e-watan ke Khwaab
zindaa ke Khwaab, koocha-e-daar-o-rasan ke Khwaab

ye Khwaab hii to apni jawaanii ke paas the
ye Khwaab hii to apne amal ki asaas the
ye Khwaab mar gaye haiN to berang hai hayaat
yuuN hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat

aao k koi Khwaab buneiN kal ke vaaste
varnaa ye raat aaj ke sangeen daur kii
Das legi jaan-o-dil ko kuchh aise k jaan-o-dil
taa-umr phir na koii haseeN Khwaab bun sakeiN.



:- Shahir Ludhiyanvi.......

Sunday, November 18, 2012

Bewazah Saans bhi aye dost na legi Duniya..

Bewazah Saans bhi aye dost na legi Duniya,
Tu samajhta hai, tujhe yad karegi duniya?

Roj Tarikh ki maanind badalna hai ise,
Der tak sath kisi ka Nahi degi duniya.

Khul ke rone ki tabiyat to bahut hoti hai
Lekin is bat ka dar hai ki hasegi duniya..

Khul ke rone ki tabiyat to bahut hoti hai.
Lekin is bat ka dar hai ki hasegi duniya,

Ye Mohabbat hai yaha zine me kya rakha hai,
Har jaaoge to tohfe me milegee duniya.

:---  Voice of heart

Tuesday, November 6, 2012

Wo bhi Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain,
Har Naye Mod Par Ek Zakhm Naya Dete Hain,


Tum Se To Khair Ghadi Bhar Ki Mulakat Rahi,

Log Barson Ki Rafakat Ko Bhula Dete Hain, 


Kaun Hota Hai Musibat Mein Kisika Aye Sanam,

Aag Lagti Hai To Patte Bhi Hawa Dete Hain, 


Jinpe Hota Hai Bahut Dilka Bharosa Jane Kyon,

WaQt Padne Pe Wohi Log Daga Dete Hain...

Monday, November 5, 2012

Ab nhi aati hai wo khusboo tere aane ki

tere jaane ke bad rat bhar mai roya hu
Itne din beet gaye aankh bhar na soya hu,

Sath gujaare hue wo lamhe yaad aate hain
aaj unhi yaadon ko mai ashko me piroya hu,

Ab na gujarta hai din, sham bhi na dhalti hai,
rat bhar aashuon se Daaman ko bhigoya hu,

Ab nhi aati hai wo khusboo tere aane ki
Jab ki mai baag-e-maahtab me hi soya hu,

Ab nahi mumkin hai didaar tere chehre ka
teri tasveer ko khwabon me snjoya hu,

Ab nhi hogi koi wasl ki mazburiyaan.
Aaj yahi soch ke aaram se mai soya hu...


                  : voice of my heart

Tuesday, October 30, 2012

Good-bye is truly painful if you know you'll never say hello again.

Wo Dil Hi Kya Tere Milne Ki Jo Dua Na Karey 
Mein Tujh Ko Bhool Ke bhi Zinda Rahuun Khuda Na Karey

Rahega  SaathTera Pyaar Zindagi Ban Kar
Ye Aur Baat, Meri Zindagi Wafa Na Karey

Ye Theek Hai Nahi Marta Koi Judaai Mein
Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Judaa Na Karey

Suna Hai usko Mohabbat Duaaein Deti Hai
Jo Dil Pe Chot To Khaaye Magar Gila Na Karey

Bujha Dia Hai Naseebon Ne Mere Pyaar Ka Chaand
Koi Dia Meri Palkon Pe Ab Jalaa Na Karey


..............   

Beautiful lines by by Jagjit Singh

Dedicated to those who miss their love because If you love someone more than anything, then distance only matters to the mind, not to the heart.

Sunday, October 28, 2012

Us ke shahar main kuch din Thahar ke dekhte hain

Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahar main kuch din Thahar ke dekhte hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o-shayari se shagaf
so hum bhi mojaze apane hunar ke dekhate hain

Suna hai bole to baatoun se phuul jhaartay hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hain

Suna hai raat use chaand takataa rahataa hai
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hain

Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk us ki
so hum bhi us ki gali se guzar kar dekhate hain

Suna hai hashr hain us kii Gazaal si aankhein
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate hain

Suna hai din ko use titaliyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hain

Suna hai raat se barr kar hain kaakulein us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hain

Suna hai us ki siyaah chashmagi qayaamat hai
so us ko surmaafarosh aankh bhar ke dekhate hain

Suna hai us ke laboun se gulaab jalate hain
so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hain

Suna hai aainaa tamasaal hai jabiain us kaa
jo saadaa dil hain ban saanvar ke dekhate hain

Suna hai chashm-e-tasawar se dasht-e-imkaan main
palang zaave us ki kamar ke dekhate hain

Suna hai us ke badan ke taraash aise hain
ke phuul apani qabaayen katar ke dekhate hain

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahain
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhate hain

bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa
so rahain-ravaan-e-tamannaa bhi Dar ke dekhate hain

Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
makeen udhar ke bhi jalve idhar ke dekhate hain

ruke to gardishein us kaa tawaaf karati hain
chale to us ko zamaane Thahar ke dekhate hain

kise naseeb ke be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar-o-diivaar ghar ke dekhate hain

kahaaniyaan hian sahi sab mubaalaGe hi sahi
agar wo Khvaab hai taabeer kar ke dekhate hain

ab us ke shahar main Thaharein ki kuuch kar jaayein
'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hain

                                                                                                                 
                                                            By: - Ahmed Faraz

Followers