Saturday, November 24, 2012

Sawaal Yeh Hai Kitaabon Ne Kya Diya Mujhko....


Dhuan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko
main Jal Raha Tha Kisi Ne Bujha Diya Mujhko


khada Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harq Liye 
sawaal Yeh Hai Kitaabon Ne Kya Diya Mujhko

safed Sang Ki Chaadar Lapet Kar Mujh Par 
fasil-E-Shaher Mein Kisne Saja Diya Mujhko


main Ek Zarra Bulandi Ko Chhoone Nikla Tha
hawa Ne Thaam Se Zameen Par Gira Diya Mujhko

Dhuan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko

No comments:

Followers