Tuesday, March 18, 2014

Waqt sab kuchh badal chuka hoga (time never wait for anything )



 Aas hogi na aasra hoga
Ane wale dinon mein kya hoga

Main tujhe bhul jaunga ek din
Waqt sab kuchh badal chuka hoga

Naam ham ne likha tha ankhon mein
Ansuon ne mita diya hoga

Aasman bhar gaya parindon se
Ped koi hara gira hoga

Kitna dushwaar tha safar uska
Wo sareshaam so gaya hoga


No comments:

Followers